Sunday 24 December 2017

Professional Hacker Banne Ki Puri Jaankari ( in hindi )

HACKER BANE PURI JAANKARI (IN HINDI)

Dosto yeh post unn sabhi logo ke liye helpful hone wali hai jo hacking ko apna profession banana chahte hai aur professional hacker banana chahte hai. Agar aapka hacking mein interest hai aur hacking as a career banana chahte ho toh humare iss post ko starting se end tak padhe. Hacking mein wahi banda tik sakta haijiska pura interest hacking aur computer mein ho agar aapka interest bilkul nahi hai bas aap logo ko impress karne ke liye hacking sikhna chahte ho toh aap bas apna time barbaad kar rahe ho kyuki hacker wahi banda ban sakta hai jiska pura interest hacking ke taraf ho. So iss baat ka dhyan rakhe tabhi aap professional hacker ban sakte ho toh chaliye dosto jante hai hacker kaise bane.

-------------------------------      ----------------------------------
Hacking ka matlab hota hai bina permission ke kisi system ke bare mein jankari hasil karna yeh jankari acche kaam ke liye bhi ho sakti hai aur bure kaam ke liye bhi. Bahut se logo ka manana hota hai ki hacking crime hai aur kuch nahi jabki aisa kuch nahi hai agar aap apne hacking skill se kisi company ya govt. ki madad karte ho toh acche kaam ke liye toh yeh acchi baat hai aur mere hisab se sabhi hackers ko apni knowledge dusro ke madad karne ke liye use karni chahiye. Hackers bhi three types ke hote hai toh chaliye unn types ke bare mein acche se jante hai..

Black Hat Hacker: 

Yeh hackers only cybercrime ko anjaam dete hai aur humesha dusro ka nuksaan karne mein lage rehte hai aise hackers bahut dangerous hote hai aur bahut mushkil se pakde jate hai. Black hat hackers ka career scope bahut kam hota hai kyuki yeh sirf galat kaam ko anjaam dete hai...

White Hat Hacker:

Yeh hackers acche kaam ke liye bane hote hai aur humesha apni hacking skill se dusro ki madad karte hai. White hat hackers kebahut career scope bhi hote hai isliye main aapkorecommend karunga ki aap white hat hacker hi bane....
_______________________________________________

So  dosto yeh kuch types the hackers ke aur yeh ab aapko decide karna hai ki aap kis tarah ka hacker banana pasand karte ho. Ab hum aate hai apne asli topic par ki hacker kaise bane toh chaliye jante hai iss bare mein..
_______________________________________________


Linux OS Use Kare-

Agar aap professional hacking karna chahte ho toh aapko windows nahi linux ka use karna hoga. Linux ek tarah ka operating system hota hai jise aapko apne Laptop/PC mein install karna hai tabhi aap apne PC se hacking perform kar sakte ho. Linux ko sikhe mein aapko thoda time lag sakta hai lekin yeh jyada mushkil bhi nahi hai. Mostly hacking experiments linux se hi perform kiye jate hai isliye yeh sabse pehla kaam aapko karna hai....

Networking Concept Samjhe-

Hacker ke paas networks ki acchi knowledge honichahiye ki kaunsa network kaise kaam karta hai kaunse steps invlove hote hai data transfer karne mein aur bhi bahut se concepts aapko network kebare mein padhna padega tabhi aap kisi network ki kami nikal sakte ho. Aapko TCP/UDP/IP/LAN/WAN/VPN/Routers/Firewall etc. ki acchi jankari honi chahiye tabhi aap hacking perform kar sakte ho....

Experiment Kare:

Sirf sikhne se kuch nhi hoga dost uss knowledge ka use bhi hona chahiye isliye jo aap sikhe uska use bhi kare. Main yeh nahi keh raha ki aap kisi kepermission ke bina hack karo agar aap aisa karte ho toh aapko jail bhi ho sakti hai isliye owner ki permission jaruri hai jab woh aapke baat se agreekare tabhi aapko apna hacking perform karna hai...

Some Important Notes For Hacker::


*.Hacking aap jitna jyada perform karoge utne jaldi expert banoge.

*Hacking koi fix time mein nahi sikhta yeh puri tarah mehnat par depend karta hai jitni jyada aap mehnat karoge utne jaldi hacking sikh jaoge.

*Agar aapko hacking ki knowedge hai toh kisi tarah ki certificate ki jarurat nahi hai waise aap chahe toh certificate le sakte ho e-council ke exam pass karke*

*Hacking sikhne ke liye age matter nahi karta waise 18+ safe age hai mere hisab se.

*Aap kisi bhi stream se ho hacking aap sikh sakte ho.

*Hacking Karte Samay Aap Apni Ip address ko Hide Karna naa Bhooley isse Aapki Location trace ni ho Pyaegi.Ip hide Kare ke liye TOR browser Use kare...

*Hacking sikhne ke baad aap kisi company mein kaam kar sakte ho aur unke online files, data ko safe rakhne mein madad kar sakte ho. Aap chahe toh bug bounty programme mein bhi participate kar sakte ho aur system mein bug dhundhne par aapko khub paise milte hai. Bug bounty programme aajkal sabhi badi compannies mein hota hai jaise google, microsoft, apple etc. Bug bounty programme ki puri jankari aapko internet par mil jayegi.........

Final Words::__

Agar Aap in sabhi baato Ko dhyan me Rakh ke hacking karte ho to aap Ek din professional Hacker Zaroor ban jayenge 
Meri Tarah || Iam..not a professional Haker Iam A Certified ethical Hacker.......
Isse zyada se Zyada Share kare....

By:Chahat singh

Tags:

Hacker kaise bane, hacking kaise sikhe, hacker banane ke liye kya kare, hacking course in hindi, hacker kaise bante hai, hacking sikhne ke liye books, hacker kaise bante hai, hacking in hindi, hacking sikhne ke liye kya kare, hacking sikhe hacker bane, hacker kaise bane, hacking ki jankari

VIDEO TUTORIAL SIKHNE KE LIYE IS LINK PAR CLICK KARE:

Khush Raho,Sijhte raho......

How to Hack Mcent Browser And earn More Money [ Hindi ]

https://youtu.be/aUd5RIyH9pA